Pages

Saturday, December 28, 2024

Ye khyaal e diwana aaj phir kahaan guzra (ghazal by Ali Jawad Zaidi)

Ye khyaal e diwana aaj phir kahaan guzra
Ik-ik lamhe par hashr ka gumaan guzra

Nok e khaar par chalna kal humin ko tha maloom
Aaj khaarzaaron se poora kaarwaan guzra

Zikr doston ka tha doston ki mehfil thi
Dushmanon ko kya kahiye dost ko garaan guzra

Jab firaq aa pahuncha bhoolne ki manzil tak
Qafila ummeedon ka dil mein nagahaan guzra

Tohfa e judaai tha ashk e surmaye e aalooda
Main jo ro pada aakhir mujhko kya gumaan guzra

Bheek humne maangi thi zeest se tabassum ki
Vo bhi ik ravaan lamha jaane kab kahaan guzra

Khatm hai safar apna, ab kahein to kya Zaidi
Kaise sakht dushman par dost ka gumaan guzra

- Ali Jawad Zaidi (page 48, Naseem-e-dasht-e-aarzu)

Vocabulary:

Gumaan: suspicion, false belief
Khaarzaar: thornfields
Garaan: dear/costly
Nagahaan: unforeseen
Alooda: polluted/soiled




No comments:

Post a Comment