Ik-ik lamhe par hashr ka gumaan guzra
Nok e khaar par chalna kal humin ko tha maloom
Aaj khaarzaaron se poora kaarwaan guzra
Zikr doston ka tha doston ki mehfil thi
Dushmanon ko kya kahiye dost ko garaan guzra
Jab firaq aa pahuncha bhoolne ki manzil tak
Qafila ummeedon ka dil mein nagahaan guzra
Tohfa e judaai tha ashk e surmaye e aalooda
Main jo ro pada aakhir mujhko kya gumaan guzra
Bheek humne maangi thi zeest se tabassum ki
Vo bhi ik ravaan lamha jaane kab kahaan guzra
Khatm hai safar apna, ab kahein to kya Zaidi
Kaise sakht dushman par dost ka gumaan guzra
- Ali Jawad Zaidi (page 48, Naseem-e-dasht-e-aarzu)