Monday, May 12, 2025

Another nazm by Ali Jawad Zaidi

Kufr hai gar na karoon naghma e asnaam ki baat

Yaad aati hai har ik baat pe ilhaam ki baat

Jhanjhana uthte hain sab taar kisi veena ke
Zehen mein goonjti hai guzri hui shaam ki baat

Ye mohabbat hai koi shakl e riyazi to nahin
Tumne aaghaaz mein kya chhed hi anjaam ki baat

Jalwagah, qatlgah, ahl e mohabbat bhi to hai
Jo na jaane vo kare mehar e lab e baam ki baat

Muskuraate hue alfaaz ki tah tak jaao
Mere ashaar mein hai shorish e ayyaam ki baat

Zindagi jalwa e sadrang hai pehle ki tarah
Ik guzarti hui ru hai gham o aalaam ki baat

Poochho Zaidi se ke bas ek vahi hosh mein tha
Subah ke bas mein kahaan hai ke kahe shaam ki baat

- Ali Jawad Zaidi (page 70, Naseem-e-dasht-e-aarzu)

Vocabulary:

Asnaam: Idols, plural of sanam
Ilhaam: Revelation or intuitive inspiration 
Shakl: Face, likeness, condition
Riyazi: Mathematics
Ahl: Able, suitable, or inhabitant
Mehar: Love, mercy or grace
Lab e baam: Corner of the roof; also decadant 
Shorish: Commotion, confusion
Ayyaam: Period, season
Sadrang: Hundreds of colours
Ru: Cause, countenance or surface
Aalaam: Grief, adversity 


Tweets by @anniezaidi