One of Ali Jawad Zaidi's Urdu ghazals, likely written soon after India won independence:
Ye na samjho matwalo! Kaun ab sataayega?
Haar maan li dukh ne, sukh to aazmaayega
Bekasi ke mele mein jo bhi gaahak aayega
Jholoyaa.n to bhar lega, khud bhi lut ke jayega
Dhoop mein naha legi jab asaadh ki dharti
Zarre-zarre mein saawan phir se kunmunaayega
Har guzarte lamhe par muhar lag chuki lekin
Laakh bhool jayega, phir bhi yaad aayega
Humne kitne afsaane likh ke chaak chaak kar daale
Waqt apna afsaana, hum ko kya sunaayega!
Baar-baar mud-mud kar yoon na dekh, deewane
Kaun raah dekhega, kaun phir bulaayega
Aankh kyun ladaate ho, dopahar ke sooraj se
Shaam ke dhundhalke mein, khud ye milne aayega
Za'm khud-parasti mein aaj ka naya insaa.n
Zindagi ki mayyat se butkada sajaayega
Fard-fard tanha hai, kul samaaj tanha hai
Main jo chup rahoon Zaidi, kaun gungunaayega?
[From the collection, Nazeem-e-dasht-e-Arzoo]