Dil oob gaya khamosh rahte rahte
Dum ghutne laga ranj sahte sahte
Ik jaam idhar, haath badha kar saaqi
Aghyaar se koi baat kahte kahte
- Ali Jawad Zaidi
page 30 (Naseem-e-dasht-e-aarzu)
*
Chaak e sar damaan e khiza milta hai
Mausam naye mausam se gale milta hai
Aur aisi fizayein, hai ye aalam apna
Ik chot si lagti hai jo gul khilta hai.
- Ali Jawad Zaidi
page 45 (Naseem-e-dasht-e-aarzu)