Intizaar kyun karti marg e nagahaa.n apna?
Jab Tahu ke deta hai dard e bekaraa.n apna
Gungunaane lagta hai shauq e naghmakhwa.n apna
Jis jagah havaon se shole baat karte hain
Bas vahin kahin par tha gosha e imaa.n apna
Manzilon mein shabkhoon hain, raaston mein rahzan hain
Hum ko phir bhi chalna hai leke kaarwaa.n apna
Uske saare taaqon par rang o buu ki devi hai
Dair e khush-navaayi hai sang e aastaa.n apna
Dost agle waqton ke daude bahr e hamdardi
Kaash main bhi sun sakta shor "Ala maa.n" apna
Sau payaam ulfat ke kaanpte hain hothon par
Ajnabi si galiyon mein kaun hum-zabaa.n apna
Zindagi ki mahroomi tohfa e mohabaat hai
Humne inse paaya hai dard e raigaa.n apna
Daastaa.n faroshi to shaayri nahin Zaidi
Fan kahin na ban jaaye zeb e daastaa.n apna
- Ali Jawad Zaidi (page 37, Naseem-e-dasht-e-aarzu)

